Uncategorized
Sabhya Samaj(Civilised Society) – A hindi Poem by Prakhar Shukla
Pair zameen par rakhte hi
Pairon mein chhale pad jaate hain.
Uss masoom ki dekh haalat
Mere nain wahi gadh jaate hain.
Pair rakhne se katra raha.
Usne dekha ek bacha
Jo kapde pahen itra raha.
Mera ye kaisa jeevan
Jo inn zakhmo par chal raha.
Unka surya mare dhalne par
Mera paida hote dhal raha.
Dekho aaye bade neta
Seva me koi kami nahi.
Hum jaise jeevit murde ki
Yaha par koi kami nahi.
Saamne jo pad jaaye to
Gaali de nikale jaate hai.
Asabhya phir hame hi keh le
Agar ye sabhya kehlaate hai.
– By Prakhar Shukla